mira junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa tera fasoon-e-zebaaii
un aarzooN pe chhaii hai gard-e-maayoosi
jinhoN ne tere tabassum meiN parvarish paaii
fareb-e-shauq ke raNgeeN talism TuuT gaye
haqeeqatoN ne havaadis se phir jalaa paayii
sukoon-o-Khwaab ke parde sarakte jaate haiN
damaaGh-o-dil meiN hai vahshat ki kaar-farmaaii
vo taare jin meiN muhabbat ka noor taabaaN thaa
vo taare Doob gaye le ke raNg-o-raa’naaii
sulaa gayii thiiN jinheiN teri multafat nazreiN
vo dard jaag uThe phir se le kar aNgRaaii
ajeeb aalam-e-afsurdagii hai roo ba-faroGh
na ab nazar ko taqaazaa na dil tamannaaii
tiri nazar, tire gesu, tiri jabeeN, tire lab
mirii udaas tabee’yat hai sab se uktaaii
maiN zindagii ke haqaa’iq se bhaag aaya thaa
k mujh ko Khud meiN chhupaa le tiri fusooN-zaaii
magar yahaaN bhi ta’aqub kiyaa haqaa’iq ne
yahaaN bhi mil na sakii jannat-e-shakeb’aaii
har ek haath meiN le kar hazaar aa’eene
hayaat baNd dareechoN se bhi guzar aayii
mire har ik taraf se ek shor gooNjaa hai
aur us meiN Doob gayii ishratoN ki shahnaaii
kahaaN talak koii zindah haqeeqatoN se bache
kahaaN talak kare chhup chhup ke naGhma pairaaii
voh dekh saamne ke pur-shikvaa aivaaN se
kisii kiraaye kii laRkii kii cheeKh Takraaii
voh phir samaaj ne do pyaar karne vaaloN ko
sazaa ke taur pe baKhshii taveel tanhaaii
phir ek teerah-o-taareek jhoNpaRii ke tale
sisakte bachche pe bevaah kii aaNkh bhar aaii
voh phir bikii kisii majboor kii javaaN beTii
voh phir jhukaa kisii dar pe Gharoor-e-barnaaii
voh phir kisaanoN ke majmooa’ pe gun-mashiinoN se
haqooq yaaftaa tabqe ne aag barsaaii
sakoot-e-halqa-e-zindaaN se ek goooNj uThii
aur us ke saath mire saathiyoN kii yaad aayii
nahiiN nahiiN mujhe youN multafat nazar se na dekh
nahiiN nahiiN mujhe ab taab-e-naGhmaa pairaaii
miraa junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa teraa fasoon-e-zebaaii
Glossary:
zavaal-aamaadah = ready for failure, leading towards decline
fasoon-e-zebaai = beautiful, elegant charm or magic-spell
gard-e-maayoosii = the dust of hopelessness
tabassum = smile
parvarish paaii = raised
fareb-e-shauq = the tricks of love
talism = magic-spells
haqeeqatoN = realities
hawaadis = plural of “haadsaa”–> events
jalaa paaii = received brilliance
sukoon-o-Khwaab = peace and dreams
kaar-farmaaii = administration, supervision
taabaaN = glittering, shining
raa’naaii = beauty
multafat = politeness, kindness
afsurdagi = sadness
roo ba-faroGh = in face with all splendour and brightness
taqaazaa = urgency, demanding, pressing
gesuu = hair
jabeeN = forehead
tabee’yat = nature, disposition
uktaaii = fed up
haqaa’iq = realities, truths
fusooN-zaaii = the manifestation of enchantment (za’aii in Persian means “manifest”)
ta’aqub = Following, pursuit; persecution
jannat-e-shakeb’aaii = peace .. the heaven of peace
hayaat = life
ishratoN = luxury
naGhma-pairaaii = adorning songs, decorating with songs
pur-shikvaa = full of complaints
aivaaN = halls, galleries
taveel = long
teerah-o-taareek = obscure and dark
bevaa = widow
Gharoor-e-barnaaii = the youthful pride, young pride
majmooa’ = collection
gun-mashiinoN = machine-guns
haqooq = rights
yaafta = founders
haqooq-yaafta = those who attained their rights
tabqe = degree, ranks, orders
sakoot = silence
halqah = circle, fraternity, company, assembly
zindaaN = prison
sakoot-e-halqah-e-zindaaN = the silences of the imprisonned fraternity (or the silence inside the prison)
taab-e-naGhmaa-pairaaii = the patience or strength to decorate with songs