Bay Khatar Kood para ISHQ mein Aatish-e-Namrood
Aqal hai Mehway Tamasha-e- Labe Baam Abhi !!!
Kuchh Loug Moqam-e-Ishq ko apni manzil samajhte hai ,
kuchh loug Aqal ko fouqiyat dete hain aur sari Zindagi mamlat ko aqal ke paimanay se parakhte hain.
Lekin haqeeqat ye hai k Kamyabi aur Baqa un logoon ko hi naseeb hoti hai jo Ishq-e-Haqeeqi mein khud ko fana kar dete hain.
Ishq aur Aqal mutzad hain.
Ishq ka talluq Dil se hota hai aur Aqal ka talluq Dimagh se hota hai.
Aqal Daleel mangti hai ,
Ishq kisi daleel ka muhtaaj nahi , is mein dil ko sirf Yaqeen hasil hota hai.
Aqal ko “Main” ke siwa kuchh nazar nahi aata
Ishq mein sirf “Too hi Too” hota hai,
Aqal , Takabbur mein mubtala karti hai.
Ishq Aajzi aur Adab sikhata hai,
Aqal har bat mein Nafa aur Nuqsan dekhti hai.
Aashiq ko sirf Mehboob se gharz hoti hai,aur Mehboob ki raza hi maqsood hoti hai.
ALLAH TA’ALA ko ishq ke Andaz pasand hain.
Quran Pak mein mazkoor hai k Jab ALLAH TA’ALA ne Farishtoon ko hukum diya k AADAM (Alaih Salam) ko Sajda karo tu sab ne Sajda kiya Siwaey IBLEES ke.
Jab ALLAH TA’ALA ne Iblees se is ki wajah pochhi tu Us ne Daleel yeh di ;
“AADAM matti se hai aur MEIN aag se hoon, Mein Bashar ko sajda kuen karoon? “Iblees ne khud ko NABI se compare kiya, Wo aqal par bharosa kar baitha. Jab us ki aqal ne Apna aap dikhaya tu wo Takabbur mein mubtala ho gia aur ALLAH ki nafarmani ka murtakib hua. Us k paas “Ilm” tu tha lekin “Ma’refat” nahi thi.. Us ki Gustakhi ne hamesha k liye us ko Mardood bana diya.
Iblees ka “Ma’bood “ tu tha lekin “Mehboob” koi nahi tha.
Doosry taraf, Farishtoon ne Ishq ka daman pakra. Wo bhi jante the k “yeh Bashar hai” lekin unhoon ne Aqal ko chhor kar ADAB ko ikhteyaar kiya. Un ki A’AJZI aur Adab ne un ko Bargah-e- ILAHI mein moqarrab bana diya.
Jab Ishq Sikhata Hai Aadab-e- Khud Aagahi
Khulte hain Ghulamoon pe Israr-e- Shehan shahi
ALLAH Rabbul Izzat ko A’ajzi aur Adab pasand hai. Jahan Ishq hota hai Wahan Mehboob ka Adab bhi hota hai.
Ishq koi ma’mooli cheez nahi,……
Yeh tu Wo Jazba hai jo ik Musalmaan ko Kamil Momin banata hai.
Jab tak Dil mein Ishq-e-Rasool( Sallal lahu Alaihe Wa’alehi Wassallam) na ho IMAAN hi mukammal nahi hota.
Aur Imaan ke beghair koi amal ALLAH ki bargah mein maqbool nahi.
Buhat se Loug aisay bhi hote hain Jo Sirf A’amaal ke zarye Qurb-e-Ilahi ki manazil tay karna chahte hain.
Jin logoon ne direct ALLAH se Muhabbat karma chahi , direct ALLAH ke Qurb ke Talabgaar huwe un se ALLAH Pak ne Farmaya:
Mujh se Muhabbat karte ho , tu Mere NABI(Sallal lahu Alaihe Wa’alehi Wassallam) ke Sachay AASHIQ ban jao,….
Meri Rehmat ko pana hai, tu DAMAN-E-MUHAMMAD( Sallal lahu Alaihe Wassallam) ko thaam lo,…
Meri Ata’at karma chahte ho, tu Mere MUSTAFA(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke Ba’adab GHULAM ban jao,…..
Mera Qurb pana chahte ho, tu Mere HABEEB(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke WAFADAAR ban jao,…..
Mere Mehboob banna chahte ho tu, Mere HABEEB(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke JAAN NISAR ban jao,….
Meri Raza ki Talab hai ,tu Mere Mehboob RASOOL(Sallal lahhu Alaihe Wassallam) ko RAZI karo.
RAB TA’ALA ne farmaya:
Ae Bando! Mein RAB hoon. Mera Koi Shareek nahi, Meri Zaat hi Ebadat k laiq hai.Mein Qadir-e- Mutaliq Hoon. Tumhain Yeh Sab Meine Apnay HABEEB(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke Zarye se bataya hai.Meri Zaat ka Irfaan Tum ko Mere MUSATAFA(Sallal lahu ALiahe Wassallam) se mila hai.Is liye agar Mere banna chahte ho tu Mere MUSATAFA ke ban Jao.Mujh tak pohanchanay wala har Rasta MERE MUSTAFA(Salall lahu Alaihe Wa’alehi Wassallam) se shroo’ hota hai.
Ki MUHAMMAD(Salla lahu Alaihe Wassalalm) se Wafa Too Ne , Tu HUM Tere hain,
Yeh Jahan Cheez hai kia ? LOH O QALAM Tere hain
ALLAH Pak se yehi Dua aur Ilteja hai;
YA RAB! Mujay Dolat-e- Bay Kali Milay,
Mujay Izterab ki lehar Milay….
Yoon Doboon ISHQ-E-NABI mein ...
k Mujay Apni bhi na Khabar Milay!!!!
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.