Us ne dosro ka bhala karny k liye apny pair par kulhari mari thi aur ab phir us ne apny pair par phir kulhari marna shuru kar di ha. mar kar bhi, halan k marny k bad to us ko sab ki haqeeqat malom ho gae ha. us k bawajood bhi, ab bhi wo bewaqoof is kameeni duniya ki help karny chati ha. Kiun, chahti ha wo. me ne usay bohot samjhaya. wo bohot stupid rahi thi apni zindagi me, us ne kabhi kisi ka bura nahi chaha tha, aur hamesha is kameeni dunia na us k sath bura kia. usay bura hi kaha. wo beywaqoof thi. bohot ziyada beywaqoot. statements aur saying parha karti thi, to samjhny lagi ho ge k zindagi me aysy hi hota ho ga. aur us ne b wahi kia. acha hi karti rahi har aik k lie. kisi par nahaq ilzam nai lagaya. lakin khud khud ... aur us k sath kia hua, naiki kar dariya me daal.Us ko khud par itna aitmad tha k samjhti thi k aik k achy honay se us ki surrounding bhi achi ho sakti ha, lakin nahi. wo is sadi me jee rahi thi. 1400 saal pehly ki waqt me nahi.
mujhy tars ata ha us par. bohot tars ata ha.
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.