Ye mashq-e-gham-naveesi mera shoq tu nahin hey
na hi zindagi ka noha mera khaas mashghala hey
par sochta hoon waqt ney mujhey aesa kya dia hey
jisey koi wajah bana kar mein khushi sey jhoom jaaoon
mein aainon ke rukh par muskaan apni deikhoon
ya mosamon ki dhun par koi naghma gun’gunaaoon!
mein wafoor-e-dard-o-ranj sey jo kuch bhi seekh paaya
wo tajurbat bechney ko koi dukaan nahi sajaai
ye haadson ke qissey to bas yunhi likh raha hoon
mein ney kaaghzon ke ooper koi numaaish nahi lagaai!
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.