Din raat key anay janay mein
dunya key ajaib khanay mein
kabhi sheeshay dhundlay hotay hain,
kabhi manzar saaf nahin hotay…
kabhi suraj baat nahin kerta,
kabhi taray ankh badaltay hain…
kabhi manzil peechay rehti hay,
kabhi rastay agay chltay hain!!!
Kabhi asain tor nahin charhti,
kabhi khadshay pooray hotay hain.
Kabhi ankhain deikh nahin saktein
Kabhi khwab adhoray hotay hain.
yeh sab shai tu hay leikin
is ashoob key manzar namay mein
din rat key anay janay mein
dunya key ajaib khanay mein
Kabhi saya karti ankhon key
payman tu dikhai detay hain
hathon sey agarchay door sahi
Manzil sey koson door sahi
per door sahi, ranjoor sahi,
zakhmon sey musaffir choor sahi
per kis sey kahein, “ay-jan-e-wafa”
“kuch ghao tu aisay hotay hain
jinhain zakhmi aap hi dhotay hain
bin roye huay anso ki tarah
sapnay mein chupa ker rakhtay hain
or sari umar nahin rotay
Neendain bhi muhaya hoti hay
sapnay bhi door nahin hotay
kiyon phir jagtay rehtay hain??
kiyon sari raat nahin sotay???
Ab kis sey kahein a jan-e-wafa, a ahl-e-wafa
kis aag mein jaltay rehtay hain,
kiyon bujh key rakh nahin hotay.
imkan tu dikhai detay hain
One of my most favorite ones.
Wish I could bring you back.Wish I could tell you how much you are missed.
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.