Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqein ke burey ham hain dosto
Kis ko hamaarey haal se nisbat hai kyaa karein
Aankhein tu dushmanoun ki bhi purnam hain dosto
Apane siwaa hamaarey na hone kaa Gham kise
Apani talaash mein tu ham hi ham hain dosto
Kuchh aaj shaam hi sey hai dil bhi bujha bujha
Kuchh sheher ke chiragh bhi maddham hain dosto
Is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto
Sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai
Duniyaa main aisey log bahut kam hain dosto
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.