Hijr ki pyaas main qatra bhi bahut hota hai
Deed k wastay lamha bhi buhat hota hai
Tum agar paas nahi ho to koi baat nahi
Sirf ehsas ka dhoka bhi buhat hota hai
Jin pe hota hai buhat maan, buhat gehra maan
Woh badal jaen to sadma bhi buhat hota hai
Aur phir khud hi palt aata hun men raste se
Warna chalne ka irada bhi buhat hota hai
Paas hota hai to choone nahi deta khud ko
Dur ho jaun to shikwa bhi buhat hota hai
Jin k kho jane pe kho jate hen sab hosh o hawas
Un k mil jane ka nasha bhi bahut hota hai
Ab koi aur talab dil men nahi hai Wasiq
Ab teri yad ka haala bhi bahut hota hai
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.