Saturday, January 02, 2010

Baat Go Zara Si Hai

Amjad Islam Amjad ki aik khubsurat nazam

Zindagi Kay Melay MeiN
KhwahishooN Kay Railay MeiN
Tum Se Kiya KahaiN JanaaN
Es Qadar Jhamailay MeiN

Waqt Ki Ravaani Hai
Bakht Ki Girani Hai
Sakht Bay-Zameeni Hay
Sakht La-makani Hai

Hijr Kay Samandar MeiN
Takht Aur Takhtay Ki
Ek Hi Kahani Hai
Tum Ko Jo Sunani Hai

Baat Go Zara Si Hai
Baat Umr Bhar Ki Hai


Umr Bhar Ki BaataiN Kab
Do Ghari MeiN Hoti HeiN
Dard Kay Samandar MeiN
Un-Ginat Jazeeray HeiN
Bayshumaar Moti HeiN

Aankh Kay Jazeeray MeiN
Tum Ne Jo Sajaya Tha
Baat Us Diyay Ki Hai
Baat Us Gilay Ki Hai

Jo Lahoo Ki Khilvat MeiN
Chor Ban Kay Aata Hai
Lafz Ki FaseelooN Par
Toot Toot Jaata Hai

Zindagi Se Lambi Hai
Baat Takhliyay Ki Hai

Takhliyay Ki BaatoN MeiN
Guftagoo Izaafi Hai
Piyar Karnay WalooN Ko
Ek Nigah Hi Kafi Hai


Ho Sakay To Sun Ja'oo
Ek Din Akailay MeiN
Tum Se Kiya KahaiN JannaN
Es Qadar Jamailay MeiN!

No comments:

Post a Comment

Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.