tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto
kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto
kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto
is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto
sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.