hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN
maiN muntazar houN, magar teraa intezaar nahiiN
hamiiN se raNg-e-gulistaaN, hamiiN se raNg-e-bahaar
hamiiN ko nazm-e-gulistaaN pe iKhtiyaar nahiiN
abhii na chheR muhabbat ke geet aie mutrib
abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiiN
tumhaare ahd-e-vafaa ko maiN ahd kyaa samjhouN
mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIN
na jaane kitne gile ismeiN muztarib hai nadeem
vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiiN
gurez kaa nahiiN qaa’il hayaat se, lekin
jo sach kahouN to mujhe maut naagavaar nahiiN
ye kis maqaam pe pahuNchaa diyaa zamaane ne
k ab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahiiN
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.