khudaa-e-bartar terii zameeN par, zameeN ki Khaatir, ye jaNg kyoN hai?
har ik fatah-o-zafar ke daaman pe Khuun-e-insaaN ka raNg kyoN hai?
zameeN bhi teri, haiN ham bhi tere, ye milkiyat ka savaal kyaa hai?
ye qatl-o-KhuuN ka rivaaj kyoN haiN? ye rasm-o-jaNg-o-jadaal kyaa hai?
jinheiN talab hai jahaan bhar ki unhiiN ka dil itnaa taNg kyoN hai?
Khudaa-e-bartar terii zameeN par, zameeN ki Khaatir, ye jaNg kyoN hai?
Ghareeb maaoN, shareef behnoN ko amn-o-izzat kii zindagii de
jinheiN ataa kii hai tuu ne taaqat, unheiN hidaayat kii roshnii de
saroN meiN kibr-o-Gharoor kyoN hai? diloN ke sheeshe pe zaNg kyoN hai?
Khudaa-e-bartar terii zameeN par, zameeN ki Khaatir ye jaNg kyoN hai?
qazaa ke raste pe jaanevaaloN ko bach ke aane kii raah dena
diloN ke gulshan ujaR na jaayeiN, muhabbatoN ko panaah dena
jahaaN meiN jashn-e-vafaa ke badle, ye jashn-e-teer-o-tufaNg kyoN hai?
Khudaa-e-bartar teri zameeN par, zameeN ki Khaatir, ye jaNg kyoN hai?
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.