Main Vo Naghma Jo Roz Naye Saazon Me Bajta
Shayar Ka Tasavvur To Uski Tanhaiyun Se Sajta
Dekhkar Aaiyna Tasalli Kisko Dete Ho
Imaan Zinda Hai To Dil’e’aaiyna Dil Se Chamakta
Roshni Andheron Ki Andhere Roshni Ke Talabgaar
Kudrat Ki Aashiqui Me Din’o’raaat Ishq Se Sajta
Khabardaar Mujhko Karke Phir Mujhse Bekhabar Ho Gaya
Kya Kahen Ye Shaqs Unka Karam Hi Ise Samajhta
Taazgi Gham Se Rahti Gul’e’zindgaani Ki
Khushiyun Ka Qaarobaar Aalam’e’dard Se Mahakta
Beshak Kisi Ka Nahi Main Mera Koi Aur Nahi
Dunia Use Bhi Nahi Kahte Insaan Jise Kahta
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.