_____________________________________________________________________________
mana keh meray des main mushkalain hain hazar
khushiyoon ki baraat ko youn nah dhondha kegiay
mana key surkh pholon say muhababat hai tujhay
zard pholon ko youn na raundha kejiay
mana keh meri zaban peh pehray hain hazar
ankhon ki tarawat say meray dill ki dharkan samjha kejiay
meray watan ki azadi ik nia mor lay gi aab
zanjeerian toot gain gi thora fikray farda kejiay
------------------******************---------------------
Han main nay mana keh musibat main mera des hai
daryaon kay dill jis say dehal jaain who mehvay tanay gosh hai
bedaar jald ho ga musalman woh din bahot jald ana hai
islam ki agosh main akhir zamano ko saman hai
mayous nah ho a JAAN who waqat anay wala hai
koi ghazi koi mehmood parcham-e-islam lehrainay wala ha
by Azhar Ahmed
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.