Sunday, November 16, 2008

I know

I dont know what i am feeling these past few days ago...

i got a very painful headache that starts from the top of my head and extend to my rear neck and shoulders.

Saturday, November 08, 2008

tum ne keh dya Alvida Alvida

chupake se kahin, dheeme paanou se
jaane kis taraf, kis ghadi
aage badh gaye hamse raahon mein
par tum toh abhi the yahin
kuchh bhi na suna, kab ka tha gila
kaise keh diya alvida

jinake darmiya guzri thi abhi
kal tak yeh meri zindagi
dono baahon ko, thandi chaanoun ko
hum bhi kar chale alvida
alvida, alvida, meri raahein alvida
teri saansein kehati hai, alvida
alvida, alvida, abb sunnna aur kya
jab tune keh diya, alvida

sunle bekhabar, yuun aankhein pher kar aaj tu chali ja
dhundegi nazar humko hi magar har jagah
aisi raaton mein leke karvate, yaad hamein karna
aur phir haar kar kehna kyun magar, keh diya alvida alvida
koi puchhe toh zara, kya socha aur kaha alvida
alvida, alvida, abb sunna aur kya
jab tune keh diya, alvida

??? dil chale, phir bhi dil kahe
kaash mere sang aaj hote tum agar, hoti har dagar gulsita
tumse hai khafa, hum naaraaz hai, dil hai pareshaan
socha na suna tune kyun bhala keh diya alvida alvida
koi puchhe toh zara, kya socha aur kaha alvida
alvida, alvida, abb kehna aur kya
jab tune keh diya, alvida

kyun socha aur kahan alvida
dono baahon ko, thandi chaanou ko
hum bhi kar chale alvida

Haan judaai se darta hai dil

Lyrics - Haan Judai Se Darta Hai DilHaan judaai se darta hai dil
Maut se to main darta nahin
Aur darta to sun le sanam
Pyar tujh se main karta nahin...
Main akela na reh paoonga
Door tak raat hi raat hai
Zindagi ek alag cheez hai
Zinda rehena alag baat hai
Umre kaise guzar payegee
Ek pal jab guzarta nahin...
Gham ka mausam guzarta nahin
Zakham yaadon ka bharta nahin
Raat parbat hai kat ti nahin
Din hai dariya utar - ta nahin
Meri neendon mein a jayegi
Dhoop suraj ka khanjar liye


Todne mera dil aayega
Chand haathon mein paththar liye
Dil darata hai mujh ko magar
Main yakin dil pe karta nahin...









Tum juda hokar hamein

Lyrics - Tum Juda Ho Kar HameinTum juda hokar hamein
Aur pyare ho gaye
The kareeb to door the
Ab hamare ho gaye
Ek - Ek saans mein
Yaad ban ke mahekti ho tum
Ho gayee ho khaffa phir bhi
Mujh mein dharakti ho tum
Dhoondta hai hamein
Pyar ka raasta aaj bhi
Aa rahi hai yahi
Dharkanon se sada aaj bhi...
Door ho to laga
Meri aankhon ki tum pyaas the
Tha pata yeh kahan
Tum mere is kadar paas the
Darr nahin rat ka
Meri palkon pe jugnu to hain
Saath ab tum nahin
Mere saathi yeh aansoo to hain...
Kya kahen kis tarah
Toot kar reh gayee har kasam
Waqt ka hai sitam
Bewafa the na tum aur na hum
Kya khabar thi hamein
Pyar mein hongi majboorian
Jitne hum the kareeb
Utni nazdeeq thi dooriyan

Thursday, November 06, 2008

koi yeh kaise bataayen....





Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Tujhay Ishq Ho Khuda Karay
Tujhay Us Say Koi Juda Karay

Taire Hoont Hansna Bhool Jaain
Taire Aankh Pur-Num Raha Karay

To Us Ki Baatain Kya Karay
To Us Ki Baatain Suna Karay

Usay Daikh Kar To Ruk Jae
Wo Nazar Jhuka Kar Mila Karay

Tujhay Dosti Bhi Na Raas Aae
To Tanha Tanha Phira Karay

Tujhay Hijar Ki Wo Jhari Lagay
To Milan Ki Har Pal Dua Karay

Taire Khuwaab Bikhrain Toot Kar
To Kirchi Kirchi Chuna Karay

To Gali Gali Sada Karay
To Nagar Nagar Phira Karay

Tujhay Ishq Per Phir Yaqeen Ho
Usay Tasbiyoon Per Gina Karay

Phir Main Kahoon Ishq Dhoong Hai
To Nahi Nahi Kya Karay

gulshan main bahaar aaee mere dil kaa chaman viraaN

gulshan main bahaar aaee mere dil kaa chaman viraaN
har shaaKh hai muskaa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

kaliyo.n ne bhii khil-khil ke rituo.n ko sadaa dii hai
patto.n ne bhii hil-hil ke shaaKho.n ko havaa dii hai
mausam pe bahaar aa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

Guncho.n se lipatatii hai mastii bharii purvaa_ii
har-suu hai nashaa chhalakaa mad-mast ghaTaa chhaa_ii
phuulo.n ne lii anga.Daa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

taaro.n-sii chamakatii hai.n barakhaa kii hasii.n buu.Nde.n
dulhan-sii larazatii hai.n badalii me.n chhipii lahare.n
bha.Nvao.n ne Gazal gaa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

hum ne duniya me kia daikha

hamane duniyaa me.n aake kyaa dekhaa 
dekhaa jo kuchh so Khvaab-saa dekhaa

hai to insaan Khaak kaa putalaa
lek paanii kaa bul-bulaa dekhaa

[lek (a short form of lekin)=but]

Khuub dekhaa jahaa.N ke Khuubaa.N ko
ek tujh saa na duusaraa dekhaa

[Khuubaa.N=beauties (beautiful ladies)]

ek dam par havaa na baa.Ndh habaab
dam ko dam bhar me.n yaa.N havaa dekhaa

[habaab=bubble]

na huye terii Khaak-e-paa ham ne
Khaak me.n aap ko milaa dekhaa

[Khaak-e-paa=dust of the feet (paao.n kii dhuul)]
[aap=self (in the context used here)]

ab na diije "Zafar" kisii ko dil
ki jise dekhaa bevafaa dekhaa

Wednesday, November 05, 2008

Unique and Creative Table Designs

mutabledesigns25

Collection of unique and creative table designs from around the world.

Orange Slice Table


Creative Table in the form of an orange slice.

mutabledesigns1

The Periodic Coffee Table


A visually stunning presentation of the periodic table suitable for reception areas, board rooms or wherever scientists meet and works of art might be displayed. Each element sample is individually embedded inside a solid acrylic block. The blocks are arranged in the familiar grid of the periodic table, carefully illuminated and beautifully presented beneath a sheet of toughened glass. The coffee table itself is manufactured by British Craftsmen in burred oak.

mutabledesigns181

Greca Table


Lacquered wood structure with chrome metal insert

mutabledesigns11

Endless Nile Table


Creative table designed by Karim Rashid.

mutabledesigns13

Reform Bedworks Laptop Table


Designed for those who want a hard surface while working on the floor or in bed, the Bedworks Laptop Platform houses a storage compartment for gadgets, papers and magazines

mutabledesigns12

SwiTCh Table


SwiTCh is a new concept in design. It is a chair and a table, a relaxing seat and a small working place in one. It switches instantly and effortlessly.

mutabledesigns17

Cirrus Table


Beautiful table design by Stuart Melrose.

mutabledesigns3

Creative Tables by Reiss f.d.


All tables in this collection utilize the technique of bending thin layers of wood veneer into a desired shape.  A method which yields 8-10 times more usable wood from a log than solid timber.

mutabledesigns5

Flintstone Table


Low table on wheels. Frame and top in bent natural sheet steel

mutabledesigns9

Breathing Light Tables


Tables that react to sounds in their environment and to each other through the “breathing” of LED lights

mutabledesigns22







mutabledesigns6

Tuesday, November 04, 2008

Mari aaj ki Nazm ---

koi mananey wala hi nahin
rooth key khud hi man jati hoon main
koi nahin jo samjhaey mujhey
bus apney dil ko khud hi samjha leti hoon main

yeh dil bhi ajeeb cheez hai
jo isse tor detey hain, unhey dil main basa leti hoon main
loog bekher detey hain is dil ko
jab chaley jaatey hain to khud hi saja leti hoon main

deney waley dard dey ke chale jaatey hain
woh haseen yadain seeney sey laga leti hoon main
ab to aadat hogayee hai aisi key
roona chahoon bhi to na jaaney kion muskura deti hoon main

yeh kaisa tanhae ka alam hai
har taraf shor hokar bhi apney aap ko tanha paati hoon main
tum kaisey suno gey meri dastaan ae Tanhae
patharon ko bhi suna kar rula deti hoon main

Monday, November 03, 2008

meari aankh keasay chalak gai... why my eyes got tears...

Mujhay appnay zabat pay naz tha sar-e-bazam-raat yeh kia hoa
meari aankh keasay chalak gai yeh hay gham kay bura hoa

[caption id="attachment_635" align="aligncenter" width="495" caption="mari ankh kasy chalak gae"]mari ankh kasy chalak gae[/caption]

Meri zindagi kay charag ka yeh andaz koi naya nahi
kabhi teargi kabhi roshani na jala hoa na bhoja hoa

Aap keun na mujh ko samjh sakay yeh appnay app say pochiay
meari dastan-e-hayat ka hay warq warq khula hoa



mujhay dushman-e-jaan bhi pukhta kar-jafa milla
na koi zarab galat lagi na koi nishana khata hoa

mujhay hamsafar milla bhi to sitam zareef meri tarah
kai manzlon ka thaka hoa kai raston ka luta hoa



[caption id="attachment_637" align="aligncenter" width="495" caption="ya na thi humari qismat, k wisal-e-yaar hota, agar aur hetay rehty To yahi inizaar hota."]ya na thi humari qismat, k wisal-e-yaar hota, agar aur hetay rehty To yahi inizaar hota.[/caption]

himmat-e-iltijaa nahen baaqii

himmat-e-iltijaa nahen baaqii
zabt kaa hausalaa nahen baaqii

ik terii deed chhin gae mujh se
varnaa duniyaa main kyaa nahen baaqii

apanii mashq-e-sitam se haath na khench
main naheen yaa vafaa naheen baaqii

teree chashm-e-alam_navaaz ke Khair
dil main koe gilaa naheen baaqii

ho chukaa Khatm ahad-e-hijr-o-visaal
zindagii main mazaa naheen baaqii

[himmat-e-iltijaa = strength to plead]
[baaqii = remaining; zabt = tolerance/restraint]
[deed = sight/view]
[mashq-e-sitam = practice of tormenting/oppression]
[alam_navaaz = consoling when in grief]
[ahad = promise]
[hij-o-visaal = separation and union/meeting]

Faiz Ahmed Faiz

Sunday, November 02, 2008

Do you really know about ISLAM? Check again…

5 minutes introduction to ISLAM








Please share with your Muslim Brothers
and Non-Muslim Friends.

The is called “Qasida Burdah” by Mohammad Al Husayan

ye haath salamat khan jab tak







Ye Haath Salamat Hain Jab Tak

Is Khoon May Hararat Hai Jab Tak

Is Dil May Sadaqat Hai Jab Tak

Soch, kiyn meraa dil shaad nahi hai kiyn Khaamosh rahaa karataa huN

Soch,

kyuu.N meraa dil shaad nahii.n hai kyuu.N Khaamosh rahaa karataa huu.N
chho.Do merii raam kahaanii mai.n jaisaa bhii huu.N achhaa huu.N

meraa dil Gam_Gii.N hai to kyaa Gam_Gii.n ye duniyaa hai saarii
ye dukh teraa hai na meraa ham sab kii jaagiir hai pyaarii

tuu gar merii bhii ho jaaye duniyaa ke Gam yuu.N hii rahe.nge
paap ke pha.nde, zulm ke ba.ndhan apane kahe se kaT na sake.nge

Gam har haalat me.n mohalik hai apanaa ho yaa aur kisii kaa
ronaa dhonaa, jii ko jalaanaa yuu.N bhii hamaaraa, yuu.N bhii hamaaraa

[mohalik=fatal]

kyuu.N na jahaa.N kaa Gam apanaa le.n baad me.n sab tadabiire.n soche.n
baad me.n sukh ke sapane dekhe.n sapno.n kii taabiire.n soche.n

be-fikre dhan daulat waale ye aaKhir kyuu.N Khush rahate hai.n
inakaa sukh aapas me.n baa.Nte.n ye bhii aaKhir ham jaise hai.n

ham ne maanaa ju.ng ka.Dii hai sar phuuTe.nge,Khuun bahegaa

Khuun me.n Gam bhii bah jaaye.nge ham na rahe.n, Gam bhii na rahegaa

[caption id="attachment_615" align="aligncenter" width="198" caption="i wish i could walk in the rain, so no one will able to see my tears."]i wish i could walk in the rain, so no one will able to see my tears.[/caption]

Tum bin man ki baat adhuri


Tum bin man ki baat adhuri
Din hain adhure raat adhuri



Tum bhi pyaase main bhi pyaasi
Yug se lambi pal ki udasi
Aa hi gaye naino mein saawan
Phir bhi hain barsaat adhuri
Din hain adhure raat adhuri
Tum bin man ki baat adhuri

Soone soone angana dware
Sehmi sehmi hein choubaare
Chaand aur sooraj pheeke pheeke
Taaron ki baaraat adhuri
Din hain adhure raat adhuri
Tum bin man ki baat adhuri








To the Daisy



In youth from rock to rock I went,
From hill to hill in discontent
Of pleasure high and turbulent,
Most pleased when most uneasy;
But now my own delights I make, -
My thirst at every rill can slake,
And gladly Nature's love partake
Of Thee, sweet Daisy!

Thee Winter in the garland wears
That thinly decks his few grey hairs;
Spring parts the clouds with softest airs,
That she may sun thee;
Whole Summer-fields are thine by right;
And Autumn, melancholy wight!
Doth in thy crimson head delight
When rains are on thee.

In shoals and bands, a morrice train,
Thou greet'st the traveller in the lane,
Pleased at his greeting thee again;
Yet nothing daunted,
Nor grieved, if thou be set at nought:
And oft alone in nooks remote
We meet thee, like a pleasant thought,
When such are wanted.

Be violets in their secret mews
The flowers the wanton Zephyrs choose;
Proud be the rose, with rains and dews
Her head impearling;
Thou liv'st with less ambitious aim,
Yet hast not gone without thy fame;
Thou art indeed by many a claim
The Poet's darling.

If to a rock from rains he fly,
Or, some bright day of April sky,
Imprisoned by hot sunshine lie
Near the green holly,
And wearily at length should fare;
He needs but look about, and there
Thou art! -a friend at hand, to scare
His melancholy.

A hundred times, by rock or bower,
Ere thus I have lain couched an hour,
Have I derived from thy sweet power
Some apprehension;
Some steady love; some brief delight;
Some memory that had taken flight;
Some chime of fancy wrong or right;
Or stray invention.

If stately passions in me burn,
And one chance look to Thee should turn,
I drink out of a humbler urn
A lowlier pleasure;
The homely sympathy that heeds
The common life our nature breeds;
A wisdom fitted to the needs
Of hearts at leisure.

Fresh smitten by the morning ray,
When thou art up, alert and gay,
Then, cheerful Flower! my spirits play
With kindred gladness:
And when, at dusk, by dews oppressed
Thou sink'st, the image of thy rest
Hath often eased my pensive breast
Of careful sadness.

And all day long I number yet,
All seasons through, another debt,
Which I, wherever thou art met,
To thee am owing;
An instinct call it, a blind sense;
A happy, genial influence,
Coming one knows not how, nor whence,
Nor whither going.

Child of the Year! that round dost run
Thy course, bold lover of the sun,
And cheerful when the day's begun
As lark or leveret,
Thy long-lost praise thou shalt regain;
Nor be less dear to future men
Than in old time; -thou not in vain
Art Nature's favourite.

Saturday, November 01, 2008

mujhe apne zabt pe naaz tha





Hum ke Thehre ajanabii itane madaaraato.n ke baad

Hum ke Thehre ajanabii itane madaaraato.n ke baad
Phir bane.nge aashnaa kitanii mulaaqaato.n ke baad

Kab nazar me.n aayegii bedaaG sabze kii bahaar
Khuun ke dhabbe dhule.nge kitanii barasaato.n ke baad

Dil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohalat hii na dii
Kuchh gile-shikave bhii kar lete munaajaato.n ke baad

The bahut bedard lamhe.n Khatm-e-dard-e-ishq ke
Thii.n bahut bemahar subahe.n meharabaa.N raato.n ke baad

Un se jo kahane gaye the "Faiz" jaa.N sadaqaa kiye
Anakahii hii rah ga_ii vo bat sab baato.n ke baad







Hospitalities exchanged, yet we who strangers stay
With how many encounters, shall amiability display?

After how many rains, shall the blood stains fade,
And when, in our sight, shall unspotted fields sway?

All that the heart desired, its breaking permitted not,
No grievance did those contained praises betray.

Merciless were moments, that witnessed the end of pain,
Benevolent nights brought in a cruel break of day.

That which, on your life, you determined to convey
Unspoken on your lips, Faiz, the decided words lay

Aaj Bazar Mein -- Faiz Ahmed Faiz

چشم نم جانِ شوریدہ کافی نہیں تہمتِ عشق پوشیدہ کافی نہيں آج بازار میں پابجولاں چلو دست افشاں چلو مست و رقصاں چلو خاک برسر چلو خوں بداماں چلو راہ تکتا ہے سب شہرِ جاناں چلو حاکمِ شہر بھی مجمعِ عام بھی صبحِ ناشاد بھی روزِ ناکام بھی تیرِ الزام بھی سنگِ د شنام بھی ان کا دمساز اپنے سوا کون ہے شہرِ جاناں میں اب با صفا کون ہے دستِ قاتل کے شایاں رہا کون ہے رخِ دل باندہ لو دل فگاروں چلو پھر ہمیں قتل ہوآئیں یارو چلو

 





bohot kuch diya ha is zindagi na...

bohot kuch diya ha is zindagi me,

Phir bhi kami ha abhi.

Iodine ki nahi...