Mujhay appnay zabat pay naz tha sar-e-bazam-raat yeh kia hoa
meari aankh keasay chalak gai yeh hay gham kay bura hoa
[caption id="attachment_635" align="aligncenter" width="495" caption="mari ankh kasy chalak gae"][/caption]
Meri zindagi kay charag ka yeh andaz koi naya nahi
kabhi teargi kabhi roshani na jala hoa na bhoja hoa
Aap keun na mujh ko samjh sakay yeh appnay app say pochiay
meari dastan-e-hayat ka hay warq warq khula hoa
mujhay dushman-e-jaan bhi pukhta kar-jafa milla
na koi zarab galat lagi na koi nishana khata hoa
mujhay hamsafar milla bhi to sitam zareef meri tarah
kai manzlon ka thaka hoa kai raston ka luta hoa
[caption id="attachment_637" align="aligncenter" width="495" caption="ya na thi humari qismat, k wisal-e-yaar hota, agar aur hetay rehty To yahi inizaar hota."][/caption]
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.