hamane duniyaa me.n aake kyaa dekhaa
dekhaa jo kuchh so Khvaab-saa dekhaa
hai to insaan Khaak kaa putalaa
lek paanii kaa bul-bulaa dekhaa
[lek (a short form of lekin)=but]
Khuub dekhaa jahaa.N ke Khuubaa.N ko
ek tujh saa na duusaraa dekhaa
[Khuubaa.N=beauties (beautiful ladies)]
ek dam par havaa na baa.Ndh habaab
dam ko dam bhar me.n yaa.N havaa dekhaa
[habaab=bubble]
na huye terii Khaak-e-paa ham ne
Khaak me.n aap ko milaa dekhaa
[Khaak-e-paa=dust of the feet (paao.n kii dhuul)]
[aap=self (in the context used here)]
ab na diije "Zafar" kisii ko dil
ki jise dekhaa bevafaa dekhaa
The Untold Secret - all about the nice things. Technology, Project Management, Designing, Development, Quotations, Photography, Lyrics, Literature, Poetry, About The Cities, Religion, Job, Life, Songs, Movies, Dramas, History and much more.
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.