Kabhi yehan tumhein dhoondha kabhi wahan puhancha
Tumhari Deed Ki Khatir Kahan Kahan puhancha
Ghareeb mit gaye, Pamaal ho gaye lekin
Kissi talak na tera aaj tak nishan puhancha
Ho bhi nahin aur...
Ho bhi nahin aur har jaa ho
Tum Ek Gorakh dhandha ho...
Nit naye naqsh banatay ho mita dete ho
Jaane kis jurm-e-tamana ki saza dete ho
Kabhi kankar ko bana dete ho heeray ki kani
Kabhi heeron ko bhi mitti mein mila dete ho
Jindagi kitnay hi murdon ko ata ki jiss ne
Woh maseeha bhi saleebon pe saja dete ho
Khwahish-e-deed jo kar baithe sar-e-toor koi
Toor hi bark-e-tajalli se jala dete ho
Naar-e-namrood mein dalwatay hu khud apna khaleel
Khud hi phir naar ko gulzaar bana dete ho
Chahe kinaan mein phainko kabhi mahe in aan
Noor yakuub ki aankhon ka bujha dete ho
Becho yusuf ko kabhi misr ke baazaaron mein
Akhir-e-kaar shah-e-misr bana dete ho
Jazb-o-masti ki jo manzil pe puhanchta hai koi
Baith kar dil mein an-al-haq ki sada dete ho
Khud hi lagwatay ho phir kufr ke fatway uss par
Khud hi mansoor ko sooli pe charha dete ho
Apni hasti bhi woh ik roz ganwa baithta hai
Apne darshan ki lagan jis ko laga dete ho
Koi raanjha jo kabhi khoj mein nilklay tumkar
Tum ussay jhang ke bele mein rula deta ho
Justajoo le ke tumhari jo chale kais koi
Uss ko majnoon kissi laila ka bana dete ho
Jot sassi ke agar mann mein tumhari jaagay
Tum usse tapte huay thal mein jala dete ho
Sohni gar tum ko mahiwal tasawwur kar le
Uss ko biphri hui lehron mein baha dete ho
Khud jo chaaho to sar-e-arsh bula kar mehboob
Ek hi raat mein mairaaj kara dete ho
Aap hi apna parda ho
Aap hi apna pardaa ho
Tum ek gorakh dhandha ho
Jo kehta hoon maana, tumhein lagta hai bura sa
Phir bhi hai mujhe tum se baharhaal gila sa
Chup chaap rahe dekthe tum Arsh-e-Bareen par
Tapte huay karbal mein Muhammad ka nawasa
Kiss tarhe pilata tha lahoo apna wafa ko
Khud teen dinon se wo agarche tha piyasa
Dushman to bahar taur thay dushman magar afsos
Tum ne bhi faraham na kiya paani zara sa
Har zulm ki taufeeq hai zalim ki wirasat
Mazloom ke hissay mein tassali na dilasa
Kal taaj saja dekha tha jiss shakhs ke sar par
Hai aaj ussi shakhs ke hathon mein hikasa
Yeh kya hai agar poochoon to kehte ho jawaban
Iss raaz se ho sakta nahin koi shanasa
Hairat ki ek duniya ho
Hairat ki ek duniya ho
Tum ek gorakh dhandha ho
Har ek jaa pe ho lekin pata nahin maaloom
Tumhara naam suna hai nishaan nahin maaloom
Dil se arman jo nikal jaaye to jugnoon ho jaye
Aur aankhon mein simat aaye to aansoo ho jaye
Japeya huu ka jo be huu kare huu mein kho kar
Uss ko sultaniyan mil jayen wo ba huu jo jaye
Baal beeka na kissi ka ho churri ke neeche
Halk-e-asghar mein kabhi teer tarazoo ho jaye
Kiss kadar be-niyaz ho tum bhi
Daastaan-e-daraaz ho tum bhi
Aah-e-Tehkeek mein har gam pe uljhan dekhoon
Wohi haalat-o-khayalat mein an ban dekhoon
Ban ke reh jaata hoon tasweer pareshani ki
Ghaur se jab bhi kabhi duniya ka darpan dekhoon
Ek hi khaak pe fitrat ke tazaadat itnay
Kitnay hisson mein bata ek hi aangan dekhoon
Kahin zehmat ki sulagti hui patjhar ka samaan
Kahin rehmat ke baraste huay sawan dekhoon
Kahin phunkaarte darya, kahin khamosh pahaar
Kahin jangal, kahin sehra, kahin gulshan dekhoon
Khun rulata hai yeh takseem ka andaaz mujhe
Koi dhanwaan yehan par koi nirdhan dekhoon
Din ke haathon mein faqat ek sulagta sooraj
Raat ki maang sitaron se muzzayyan dekhoon
Kahin murjhaaye huay phool hain sacchai ke
Aur kahin jhoot ke kaanton pe bhi joban dekhoon
Shams ki kaal kahin khichti nazar aati hai
Kahin sarmad ki uttarti hui gardan dekhoon
Raat kya shai hai saweera kya hai
Yeh ujala yeh andhera kya hai
Mein bhi nayib hun tumhara akhir
Kyon yeh kehte ho ke tera kya hai
Dekhne wala tujhe kya dekhta
Tu ne har har samt se parda kiya
Masjid Mandir...
Masjid, Mandir, Yeh Maikhane
Koi yeh maane, koi woh maane
Masjid, Mandir, Yeh Maikhane
Koi yeh maane, koi woh maane
Sab tere hain jaana aashanay
Koi yeh maane, koi woh maane
Ek honay ka tere kaayil hai
Inkaar pe koi maayil hai
Asleeyat lekin tu jaane
Koi Yeh maanay koi woh maane
Ek khalk mein shamil karta hai
Ek sab se akela rehta hai
Hain dono teray mastaanay
Koi yeh maanay koi woh maane
sab hain jab aashiq tumhare naam ke
kyon yeh jhagre hain raheem-o-raam ke
Dehr mein tu, Haram mein tu
Dehr mein tu, Haram mein tu
Arsh pe tu, jameen pe tu
Dehr mein tu, Haram mein tu
Arsh pe tu, jameen pe tu
Jiss ki puhanch jahan talak
Uss ke liye wahin pe tu
Har ek rang mein yakta ho
Tum ek gorakh dhandha ho
Markaz-e-Justajoo, Alam-e-rang-o-boo
Dam badam jalwagar tu hi tu chaar soo
Hoo ke mahol mein, kuch nahin fi-la-hoo
Tum buhat dil ruba, Tum buhat khubaroo
Aarsh ki azmatein, Farsh ki abroo
Tum ho konain ka, hasil-e-arzoo
Aankh ne kar liya aansoo-on se wazoo
Ab to kar do ata deed ka ek sudoo
Aao parde se tum aankh ke rubaroo
Chund lamhe milan, do ghari guftagoo
Naaz jabta phiray, jabaja koo-ba-koo
Wahda-hoo Wahda-hoo
La-shareek-a-La-hoo
Allah hoo Allah hoo
Allah hoo Allah hoo
Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Allah hoo Allah hoo Allah hoo
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.