ye daag daag ujaalaa, ye shab gaziidaa sahar
wo intazaar thaa jis kaa, ye wo sahar to nahin
ye wo sahar to nahin jis ki aarazoo lekar
chale the yaar key mil jaayegii kahin na kahin
falak ke dasht mein taron ki aaKhari manzil
kahin to hogaa shab-e-sust mauj kaa saahil
kahin to jaa ke rukegaa safinaa-e-Gam-e-dil
jawaan lahuu ki pur-asaraar shaaharaahon se
chale jo yaar to daaman pe kitane haath padey
dayaar-e-husn key bey-sabr Khwaab-gaahon sey
pukaratii rahiin baahein, badan bulaatey rahey
bahut aziiz thii lekin rukh-e-sahar kii lagan
bahut qareen tha haseenaan-e-noor kaa daaman
subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan
sunaa hai ho bhii chukaa hai firaq-e-zulmat-e-nuur
sunaa hai ho bhii chukaa hai wisaal-e-manzil-o-gaam
badal chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastoor
nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
jigar kii aag, nazar kii umang, dil kii jalan
kisii pe chaaraa-e-hijraan kaa kuchh asar hii nahin
kahaan se aaii nigaar-e-sabaa, kidhar ko gaii
abhii chiragh-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hii nahin
abhii garaani-e-shab mein kami nahin aaii
najaat-e-deeda-o-dil kii ghadi nahin aii
chale chalo key wo manzil abhii nahin aaii
is ko jashn kahain, sog kaehin, himat kahein key irada kahein
abhi manzil hay door or taqub hay jari lage raho, lage raho
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.