Usy apny parday ki fikar thi
Wo jo mera wakif-e-haal tha
Wo jo uski subha-e-urooj thi
Wohi mera wakt-e-zawaal tha
Meri baat kaise wo manta
Mera dard kaise wo janta
Wo to khud fana k safar par tha
Usy rokna b mahaal tha
Kahaan jao gay muje choor ker
Me ye poch k thak gaya
Wo jawaab muj ko ne de saka
Wo to khud sarapa-e-sawaal tha
Dam-e-wapsi ary ye kia hoa
Roshni rahi na tariki
Wo sitara kesy bikher gia
Jo apni misaal aap tha
Wo mila jo sadyon k baad b
Mery lab pe koi gila na tha
Usy mari chup nay rula dia
Jisy guftagu pe kamal tha
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.