Gehri gehri aankhon wali
Uljhi uljhi pagal larki
Tu yeh kis ki dhun mein aakhir
Lambi lambi palkoon ooper
Motay motay aansoo lay kar
Sundar komal pairon neechay,
Julti balti dharti day ker
Qariya qariya bhaag rahi hai,
Kis ki khaatir jaag rahi hai
Tujh ko yeh maaloom nahi kya
Tujh jaisi najanay kitni
Gehri gehri aankhoon wali
Kaisi kaisi sundarta kay
Dhair khazanay lay kar nikleen
Lakin phir bhi us rastay say
Manzil tak pohchanay wala
Har ik saathi jhoota nikla
Ik ik aasha dushman nikli
Ik ik sapna dhoka nikla
Sachha har ik khadsha nikla
Dekho! Tum bhi janay do ab
Nadaani ka jitna rasta
Tum nay ab tak tay kar dala
Us rastay say ghar ki manzil
Ab bhi itni door nahi hai
Ab bhi wapis ja sakti ho
Sab kuch wapis pa sakti ho
Ab bhi agar tum nadani kay
Is rastay say ghar ko wapis na palti
To phir ik din aisa ho ga
Sundar aankhein mar jain gee
Palkein khoon se bhar jain gee
Jaan laboon par aa jaye gee
Tan kay saaray ujlay pan ko
Ghor musafat kha jaaye gee
Uss din phir tum chilaao gee
Lakin kuch haasil na ho ga
Saray lams ke bhookay saathi
Pankh laga kay urr jain gay
Tum rastay mein reh jaao gee
Rasta bhi woh keh jis kay peechay
Darr ki gehri dadal ho gee
Aagay gham ka jungle ho ga
Sar par gehra badal ho ga
Uss din kay aanay say pehlay
Uss din tak jaanay say pehlay
Waqat milay to dhalnay walay
Har lamhay ki zaat pay socho
Duniya ki bareek nazar say
Duniya ki har baat pay socho
Jazboon ki auqaat hi kiya hai
Jazboon ki auqaat pe socho
Woh dekho !!
Ik saaye par phir weeranay mein bijli karki
Gehri gehri aankhoon wali
Uljhi ulhji pagal larki.........!
1 comment:
It is beautiful, loved it
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.