Aasha:
[caption id="attachment_565" align="aligncenter" width="494" caption="the death"][/caption]
nazar mein teer se chubhate hain ab nazaaron se
main thak gai hoon sabhi tootate sahaaron se
ab aur bojh na daalo
Rafi:
bahut sahi, gam-e-duniyaa, magar udaas na ho
kareeb hai shab-e-gam ki, sahar udaas na ho
bahut sahi
sitam ke haath ki talavaar toot jaayegi
ye uunch-neech ki deewaar toot jaayegi
tujhe kasam hai meri hamasafar udaas na ho
Aasha:
na jaane kab ye tarika ye taur badlega
sitam ka gam kab musibat ka daur badlega
mujhe jahaan se uthaa lo, bahut udaas huun main
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.