hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai
usii meN vaqt kaa saaraa hisaab likhaa hai
(baab : chapter; hisaab : calculation)
kuch aur kaam to ham se na ho sakaa lekin
tumhaare hijr kaa ek ek azaab likhaa hai
(hijr : separation; azaab : punishment)
suluuk nishtaroN jaisaa na keejiye ham se
hameshaa aap ko ham ne gulaab likhaa hai
(nishtar : dagger; gulaab : rose)
tere vajuud ko mahsuus umr bhar hogaa
tere laboN pe jo ham ne javaab likhaa hai
(vajuud : existence; mahsuus : felt; javaab : answer)
hu’aa fasaad to us meN nahiiN kisii kaa qusuur
havaa-e-shah’r ne mausam Kharaab likhaa hai
(fasaad : riot; qusuur : fault; havaa : wind; shah’r : city)
agar yaqiiN nahiiN to uThaaiye taariiKh
hamaaraa naam basad aab-o-taab likhaa hai
(basad : with; aab-o-taab : splendour)
Manzar Bhopali
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.