1. bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona
[ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]
2. giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona
[ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]
3. waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona
4. jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona
[ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]
5. ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch
id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona
[ ishrat = joy/delight, shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]
6. le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat
too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona
[ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness, sad_rang = hundred
colours ]
7. ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana
lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona
[ ishrat = joy/delight, paara = fragment/piece, lazzat = taste,
reesh = wound, GHarq = drown/sink, namakdaaN = container to
keep salt ]
8. kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona
[ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed/
embarrassed ]
9. haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'
jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona
[ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.