1. kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse
[ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ]
2. KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai
ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse
[ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ]
3. woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee
ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse
[ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/
admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ]
4. udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse
[ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ]
5. sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai
ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse
6. takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin
woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse
[ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ]
7. hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee
na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse
[ nabard-e-ishaq = struggle in love ]
8. qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib'
woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse
No comments:
Post a Comment
Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.